| Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
|

| Ki jaise tujhko banaya gaya hai mere liye

| Tu abse pehle sitaaron mein bas rahi thi kahin

| Tujhe zameen pe bulaya gaya hai mere liye
|
| Tujhe zameen pe bulaya gaya hai mere liye
|
| Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
|
| Ki ye badan ye nigaahein meri amaanat hain

| Ye gesuon ki ghani chhaon hain meri khatir
|
| Ye honth aur ye baahein meri amaanat hain
|
| Ye honth aur ye baahein meri amaanat hain
|
| Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
|
| Ki jaise bajti hain shehnaaiyaan si raahon mein

| Suhaag raat hain ghoonghat utha raha hoon main

| Simat rahi hai tu sharma ke apni baahon mein
|
| Simat rahi hai tu sharma ke apni baahon mein
|
| Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
|
| Ki jaise tu mujhe chaahegi umr bhar yoohin
|
| Uthegi meri taraf pyaar ki nazar yoohin
|
| Main jaanta hoon ki tu geir hai magar yoohin
|
| Main jaanta hoon ki tu geir hai magar yoohin
|
| Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
|
| Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai |