| Aye yo Ink put some sauce on it!
|
| Apnay ko chahiye bas shaanti apnay ko parwa ni inkay iraadon ki
|
| Apnay ko pata na kal ka aur ye puchein kahani puraanay saalon ki
|
| Apnay ko tere se gharz ni bhaiya
|
| Tere ko diya hai qarz ni
|
| Logon ki karta mein izzat par logon ki izzat hai mere pe farz ni
|
| Mujhe dekh k hein rukkay munday carry on
|
| Qurbaan sarhad paar jaani balidaan
|
| Mein ne baat kari kam hua kamray mein band
|
| Har din sala bana mera shunni waar
|
| Jo tu rakhta mein karta wo note hai
|
| Khaali haath aya kisi ko na chor k
|
| Mera takht naalay mere saaray chock ye
|
| Tor diye kalam mein ne saaray yahan mor k
|
| Afsos sada apnay maazi pe hai
|
| Larta khud se jang bewaja ki
|
| Inhein lagti kyun ye mjhe kakh pata ni
|
| Nahi jana rakam kia hai meri is kala ki
|
| Sun
|
| Salaam bol
|
| Awaen haath na mila
|
| Meri jaan chor
|
| Kurta pehna jab k suit
|
| Pare char coal
|
| Munda tz inko lagay
|
| Meri chaal dorr
|
| Chotay kaan khol
|
| Ziada sonay ki aadat par loha manwaya
|
| Hai thora kamaya aur thora ganwaya
|
| Wo bolein sannata jo tha mera saya
|
| Min thora ghabraya mera khud ko jann na zaroori tha ehhhh
|
| Bhai tera kab ka janooni tha
|
| Bhai tera jo tha wo bhooli na
|
| Likhay kahani jo rakhay adhoori na
|
| Yeahhh
|
| King GRAV yo
|
| Wazan uthata mai shabdo se mere, Bombay dekhega kranti
|
| Raat ka raja, mai khoon ka pyaasa, na marta mai chhune se chandi
|
| Ilaake mai dera jo lagake baithe toh dher aate jodne haath bhi
|
| Dehlade desho ko bina dahaade, dikhaate hum haathi ke daant nahi
|
| Mukkebaazi dete muh pe kaafi, girte murde bhaari, mujhpe kuch toh haavi
|
| Rutba gyaani jaisa, durdasha nahi, khudse jo ladaai, mai khudka baaghi
|
| Bhaagta na chalta mai dhun pe
|
| Garmi na lete hum oon se
|
| Bunn dete shabdo se aise taraane jo aag lagade junoon pe!
|
| Saath mai Hashim toh hogi tabaahi
|
| Mai Nas, mai Hov, tu meri parchchai
|
| Bekaar ke log na lagte hai bhai
|
| Bas aatma kaabu mai leta kasaai
|
| Jung hai zindagi, maut hi jeet hai
|
| Jeet jaa tu, meri haarke jeet naseeb hai
|
| Kheechke chhinte, peeth pe cheerde khanjar
|
| Tu banjar zameen ke niche
|
| Do gaz ka hisaab ka kya hai, murde ke liye woh aasra hai
|
| Mujhko toh paise ki aas na hai, daulat ki asha hai. |
| Duniya ke liye bas jhaasa
|
| hai
|
| Khudpe yakeen aur saathme log jo rakhte hathiyar karib mai
|
| Shikast ke zariye mila hai takht toh aadat hai sunni ki cheekhein
|
| Aye yo Ink put some sauce on it! |