Song information On this page you can find the lyrics of the song Prashna Chinha, artist - Gravity. Album song Prashna Chinha, in the genre Рэп и хип-хоп
Date of issue: 06.09.2018
Record label: ATKT.in
Song language: Swahili
Prashna Chinha |
Har sawaal ek jawaab ka mohtaaj hai |
Har jawaab ka astitva ek sawaal hai |
Par kya aisa koi hai sawaal jiska jawaab ek sawaal hai? |
(Dharma jaat chhod tu, manushyata ka ban nabhi.) |
Prashna ka jawaab hai ek sawaal jo hai prashna chinha |
Prashna ka jawaab hai ek sawaal jo hai prashna chinha |
Jite hum jo zindagi woh dekho kitni hai vibhinn |
Prashna ka jawaab hai ek sawaal jo hai prashna chinha. |
Kya ek sawaal ke liye, logon ne jaane gavayi hai? |
Kaafi baar, toh kya vichaar, kyu na dikkar? |
Hoti hatyaen, na aise hota koi jaanisaar |
Na koi adhyaay, na kisi ko samjhi baarikta |
Kya baalik naar? Nabaalik vaar, ab na yeh Shalimar! |
Na Hindustan, na Pakistan, na hai saamajikta |
Sawaal hai, swarth ya hai bina wajah ki kaalikh ka |
Sab hai bikau, jaise yeh raaj kisi tawaif ka |
Tabahi ka, yeh naya daur hua aarambh hai |
Shanti ki zarurat, dikhta na Ashok stambh hai |
Asmanjas mai hu main par koi aur na dikhta dangh hai |
Sunaai na deta kuch bhi bas dikhta yeh laal rang hai |
Khaya sabne kya hai badduaon ke alawa? |
Seecha sabne khud hai yeh duaon ka chhalawa |
Kehte mujhko neech aur adharmi aur shaitan |
Kyuki kehta mai sachchai aur woh karti hai hairaan! Ha! |
Jo karte paap unko kehte punya aatma hai |
Ek roti baat kar woh ban jaata mahatma hai |
Hai katl-e-aam karke fir banata raasta hai |
Aise logon se mera na koi vaasta hai |
Kala ke naam pe yeh bechte vaasna hai |
Sabke paas gyaan, khana, paani aur koi aas na hai |
Upar koi bhagwan nahi toh karte kisse prarthna hai |
Woh hota upar toh sab kuch na hota aaj sa, yeh |
Zindagi khel nahi par hum logon se khelte hai |
Humse jo khelte hum unn logon ko jhelte hai |
Issi wajah se aaj dilon mai sannatta hai |
Jiske saath jaisa hota hai woh waisa hi ban jaata hai |
Toh pehla hai sawaal, ke tu kaisa insan hai? |
Dusra hai sawaal, tere kitne balidaan hai? |
Teesra, teri harkaton se kitne pareshan hai? |
Aur choutha, tere chouthe ke liye kaun betaab hai? |
Inn chaaron ka jawaab hi banega ek sawaal |
Woh sawaal aisa hoga jiska na hoga jawaab |
Uss sawaal ka jawaab hai woh gyaan jisse paane ke liye naakaam hai yeh koshishe |
tamam |
Kya tere paas woh sawaal hai? |
Tujhe kya mila woh jawaab hai? |