| Ab na rukenge, ab aur na seh paayega dil yeh |
| Ab na rukenge, ab aur na seh paayega |
| Saath seekhe humne zindagi ke maayne sabhi |
| Saath dekhe the jo saare sapne ab kuchh nahin |
| Tu chali jaa par bhool na, ke main hoon tera pehla pyaar |
| Dil toh majboor tha, ke chal pada teri ore hi |
| Har baar, mere yaar, dildaar |
| Har baar, mere yaar, dildaar |
| Kaisi yeh judaai hai, aankh bhar aayi hai |
| Oh ve Rabba, Teri kaise yeh Khudaayi hai |
| Kaisi yeh judaai hai, aankh bhar aayi hai |
| Pyaar ki duniya Toone aisi kyun banaayi hai |
| Ab yahaan kya rakha hai, kya main samjhaaoon dil ko |
| Kis tarah se bata de, ab bhula doon main tumko |
| Theek hai tumse kya main kahoon |
| Bas bata kaise tujh bin rahoon |
| Tu chali jaa par bhool na, ke main hoon tera pehla pyaar |
| Dil toh majboor tha, ke chal pada teri ore hi |
| Har baar, mere yaar, dildaar |
| Har baar, mere yaar, dildaar |
| Kaisi yeh judaai hai, aankh bhar aayi hai |
| Ho ve Rabba, Teri kaise yeh Khudaayi hai |