| Bhoolna kya, bhulaana kya?
|
| Roothna kya, manaana kya?
|
| Dil ko behlaane ka
|
| Aur bas hai bahaana kya?
|
| Zindagi ka thikaana kya?
|
| Dil kabhi tha sayaana kya?
|
| Rooh mein tu hai mehfooz
|
| Phir tera jaana kya?
|
| Tujhe khoya nahin, tha kabhi…
|
| Tu hai yahin kahin, aaj bhi…
|
| Fursat ka jo har lamhaa hai
|
| Mujhse bas ye kehta hai
|
| Aadat teri baaton ki, aaj bhi
|
| Aaj bhi…
|
| Teri ankhon ne jo dekhe they
|
| Meri ankhon mein wo sapne hain
|
| Sarhad nahin khwaabon ki, aaj bhi
|
| Tu hai aaj bhi…
|
| Bin bulaaye ye aana kya?
|
| Aa gaye toh hai jaana kya?
|
| Teri yaadon se behtar hai
|
| Dil ka thikaana kya?
|
| Tere mere wo pal meethey
|
| Kum lagey saath jo beetey
|
| Par tu hai door ye meri
|
| Ankhon ne maana kya?
|
| Tujhe bhoola nahin tha kabhi
|
| Tu hai mere kareeb aaj bhi
|
| Fursat ka jo har lamhaa hai
|
| Mujhse bas ye kehta hai
|
| Aadat teri baaton ki, aaj bhi
|
| Mmmmm… Aaj bhi!
|
| Teri ankhon ne jo dekhe they
|
| Meri ankhon mein wo sapne hain
|
| Sarhad nahin khwaabon ki, aaj bhi
|
| Tu hai aaj bhi… |