| Narration |
| (Rat unka masla bhee hay mera bhee, |
| flash back un kay bhee hain, meray bhee, |
| geet woh bhee likhtay hain, main bhee, |
| farq sirf itna hay kay woh khud say geet likhtay hain |
| aur main unsay) |
| Song |
| Kioon udas phirtay ho sardion kee shamon men, |

| Is tarha to hota hay, is tarha kay kamon men, |
| Sara din akelay men, rat bhar khayalon men, |
| Is tarah to hota hay is tarah kay kamon men, |

| Chup say ho gaye ho kioon, |
| Bat kioon naheen kartee, |
| Chup say ho gaye ho kioon, |
| Bat kioon naheen kartee, |
| Chotee chotee baton per, |
| Jeetay jee naheen martee, |
| Hath kalay kartay ho, nam likh kay hathon men, |
| Is tarha to hota hay, is tarha kay kamon men, |
| Sara din akelay men, rat bhar khayalon men, |
| Is tarha to hota hay, is tarha kay kamon men, |
| Is tarha to hota hay, is tarha kay kamon men. |
| Nazm jo sunanee thee, |
| Nazm woh suna dee hay, |
| Nazm jo sunanee thee, |
| Nazm woh suna dee hay, |
| Bat samjhanee thee, |
| Bat samjha dee hay, |
| Waqt ho gaya apna, phir milengay khuwabon men, |