Lyrics Ahista - Pankaj Udhas

Ahista - Pankaj Udhas
Song information On this page you can find the lyrics of the song Ahista, artist - Pankaj Udhas. Album song Stolen Moments, in the genre Восточная музыка
Date of issue: 31.12.1997
Record label: Universal Music India
Song language: Swahili

Ahista

Aur aahista kijiye baatein, dhadkanein koyi sun raha hoga

Lafz girne na paayein hothon se, waqt ke haath inko chun lenge
Kaan rakhte hain yeh dar-o-deewaar, raaz ki saari baat sun lenge
Aur aahista kijiye baatein
Aise bolo ki dil ka afsana, dil sune aur nigaah dohraaye

Apne chaaron taraf ki yeh duniya, saans ka shor bhi na sun paaye
Na sun paaye
Aur aahista kijiye baatein, dhadkanein koyi sun raha hoga
Lafz girne na paayein hothon se, waqt ke haath inko chun lenge
Kaan rakhte hain yeh dar-o-deewaar, raaz ki saari baat sun lenge
Aur aahista kijiye baatein
Aayiye band kar lein darwaaze, raat sapnein chura na le jaaye

Koi jhonka hawa ka awaara, dil ki baaton ko uda na le jaaye
Na le jaaye
Aur aahista kijiye baatein, dhadkanein koyi sun raha hoga
Lafz girne na paayein hothon se, waqt ke haath inko chun lenge
Kaan rakhte hain yeh dar-o-deewaar, raaz ki saari baat sun lenge
Aur aahista kijiye baatein
Aaj itne kareeb aa jao, dooriyon ka kahin nishaan na rahe

Aise ek doosre mein gum ho jaaye, faasla koyi darmiyaan na reh jaaye
Na reh jaaye
Aur aahista kijiye baatein, dhadkanein koyi sun raha hoga
Lafz girne na paayein hothon se, waqt ke haath inko chun lenge
Kaan rakhte hain yeh dar-o-deewaar, raaz ki saari baat sun lenge
Aur aahista kijiye baatein
…sandip.mahale.

Share lyrics:

Write what you think about the lyrics!

Other songs of the artist:

NameYear
Jeeye To Jeeye Kaise (Solo) 2016
Chandi Jaisa Rang 2005
Chhupana Bhi Nahin Aata 2016
Woh Ladki Yaad Aati Hai ft. Mahalaxmi Iyer 1997

Artist lyrics: Pankaj Udhas