| Khul kabhi to, khul kabhi kahin |
| Main aasmaan, tu meri zameen |
| Boond-boond barsun main |
| Paani-paani khelun-khelun aur beh jaaun |
| Geele-geele hothon ko main |
| Baarishon se choomun-choomun aur keh jaaun |
| Tu. zameen hai, tu. meri zameen |
| Khul kabhi toh, khul kabhi kahin |
| Main aasmaan, tu meri zameen |
| Mmmm… |
| Lab tere yun khule jaise harf thhe |
| Honth par yun ghule jaise barf thhe |
| Aana zara-zara main haule-haule |
| Saans-saans senk doon tujhe |
| Lab tere yun khule jaise harf thhe |
| Honth par yun ghule jaise barf thhe |
| Tu hi tu hai, main kahin nahi |
| Hmm. khul kabhi to, khul kabhi kahin |
| Hmm. main aasmaan, tu meri zameen |
| Jhuk ke jab jhumka main choom raha tha |
| Der tak gulmohar jhoom raha tha |
| Jal ke main sochta tha: |
| Gulmohar ki aag hi mein phenk doon tujhe |
| Jhuk ke jab jhumka main choom raha tha |
| Der tak gulmohar jhoom raha tha |
| Tu meri kasam, tu mera yaqeen |
| Khul kabhi toh, khul kabhi kahin |
| Main aasmaan, tu meri zameen |
| Boond boond barsun main |
| Paani-paani kehlun-khelun aur beh jaaun |
| Mmm. geele-geele honthon ko main |
| Baarishon se choomun-choomun aur keh jaaun. |